Swami Vivekananda Thoughts Jo Aapki Life Bana de
Ek bar Swami Vivekananda ji ke pas ek boy aaya jiski umar lagbhag 24-25 sal thi. wo bahut dukhi lag raha tha. uske chehre par udasi chayi huyi thi or lag raha tha jaise ki use koi bahut badi bimari hai. wo Swami Vivekananda ji ke pas aa kar Swami ji ke pairo me gir pada or rone huye help ke liye gidgidane laga.Swami Vivekananda ji ne use utha kar pucha ki bete aysa kya hua jo tum itne udas or hare huye ho. tumhe kya pareshani hai. ladke ne hath jod kar kaha ki Swami mai apni life se bahut dukhi hu. mai jo bhi kam karta hu usme fail ho jata hu. mujhe kabhi kisi kam me aasani nahi hoti. pata nahi bhagwan ne meri taqdir me kya likha hai. mai bahut mehanat karta hu. din rat kam karta hu. yaha tak ki mai 12th pass hu or sabkuch janta hu. magar kabhi kamyab nahi ban saka mai ab bilkul har gaya hu. ab aap hi mujhe jindagi me kamyab hone ka koi rasta btaye. mujhe koi aysa tarika btaye jisse mai apni manzil tak pahuch saku.
Swami Vivekananda ji bole bete mai tumhare sawal ka jawab dunga. magar usse pahle tumhe mera ek kaam karna hoga.
Us ladke ne haa me sir jhukaya or bloa Swami ji mai aapka koi bhi kaam karunga. bas aap meri madad kar de. jisse mai success aadmi ban saku.
Swami Vivekananda ji ne us ladke se kaha theek hai tum mere kutte (dog) ko dusre gav (village) tak ghuma kar le aao. tab tak mai apna kam pura kar lunga. or fir aapke sawal ka jawab dunga.
Ladka kutte ko le kar dusre gav ki taraf chala gaya or Swami Vivekananda apne kaam (apne student ko padane) me lag gaye.
Comments
Post a Comment